Blogging karne ke liye hum kaise free me apna blog bana sakte h .Aaj humlog is visay me baat karenge .
Maine aap logo ko apne pichle post me blogging ke visay me jankarian uplabdh karwai thi aur free me blog banane sambandhit jainkarian lekar aane ka wada kiya tha .
Dosto to apne wada anusar main yanha WordPress aur bloger platform ka use kar free me apna blog kaise banaye me aaplogo ko batane wala hun . Agar aap bhi free me apna blog banakar apne blogging career ki suruat karna chahtey h to is article ko pura awasya padhe .
Free blog kaise banaye |
Blog kya h ?
Blog ya web log darashal ek website hi hoti h . Website me janha kisi company , institution,organization ke information ya promotion ke liye use kiya jata h .
Wanhi blog ya web log me bloger dwara niyamit antral me kisi visay ke upar apni jankari , apne anubhav , apne gyan aur vichar ko lekh ke rup me likh kar publish kiya jata h .
Blog ko hum digital diary bhi kahte h janha bloger dwara kisi visay me apne vichar aur gyan digital rup me likh kar internet me publish kar logo ke saath share karte h .
Blog banane me kya kya jaruri h
Abhi tak to aap log blog ke bare me kafi kuch jaan chuke honge blog kya h , blog koun likh sakta h , blog ke kya fayde h , blog banane aur article likhne ke liye kin chizo ki jarurat padti hain .
Blog banane ke liye apko Gmail id, computer laptop ya mobile aur acchi internet connection ki jarurat hogi.
umeed karta hun ab tak blog ke bare me aaplog kafi kuch samajh chuke honge. Chaliye ab hum jante h hum free me blog kaise bana sakte h. usse pehle hum janenge .
Free me blog kyun banaye.
Jab aap pehli bar blogging ki suruaat kariyega tab aap sikhne ki pakriya me honge isliye free me blog banana apke liye behtar hoga .
Aap suruaat me free seva ka labh utthate huye free me ek blog bana kar apni blogging ki suruaat kare , baad me kuch article likhne ke baad aap chahen to apne blog me kuch paise invetment kar sakte h.
Chale dosto hum free me blog banane ki baat karenge. blog banane ke kai platforms me mukhyatah hum BLOGER aur WORDPRESS ke bare me baat karenge. jyadatar bloggers inhi do platforms ka istemaal karte h .inme se blogger google ka hi ek product h.
Dosto to ayeeye hum blogger se suru karte h. jaisa ki maine upar me bataya tha blog banane ke liye Gmail Id hona chahiye agar apkga Gmail Id nahi h to kripaya apna Gmail Id bana le aur agar aapka Gmail Id ready h to chale hum blog banane ki prakriya suru karte h .
Blog post title seo aur users friendly kaise banaye
Blog ko google search console me kaise add kare
Kya blogging ko apna career bana sakte h
Blogger me free me blog kaise banaye .
1 . Apne laptop ya mobile ke kisi bhi browser se sabse pehle BLOGER.COM type kijiye. type karte hi apke Samne ek screen khulegi jisme kuch information Gmail Id enter karke next me click kare yanha aapko ek password pucha jayega koi accha sa password soch kar enter kare
Bloger blog 1 |
2 . Samne jo window khulegi usme aap ko apne Gmail id ke saath signup karna h agar aap pahle s sign in honge to aap ko login nahi karna padega
3 . Create a new log ke naam se apke samne ek nayee window khulegi uske right side me new par click kar le.
4 . Title ab apke samne jo window khulegi usme aap ko apne blog ke liye ek accha sa title soch kar enter kare yanha apka title chota aur asani se yaad rahe aise hona chahiye.
5 . Address ab apke samne address le liye ek window khulegi jisme aap ko apne blog ka address enter karna h.yanha apka title hi apke blog ka address hoga .
Bloger blog |
Title me address enter karte hi apko "This blog address is available" to apka blog address ban jata h aur agar apko " This blog address is not available " ka message show karta h to apne address me kuch aur words jod kar enter karne par apka address ban jayega, ab apne address ko save kar lijiye .
6 . Theme apke blog ka ek importnt part h jise aap ko apne blog me lagana h , Blogger me aap ko bahut sare free theme milenge aap apne manpasnd theme apne blog ke anusar choose kar sakte h .
Jab aap chahe to ise bad me badal sakte h . Save par click karte hi aapka blog ban kar taiyyar ho jayega . Aap ispar ab apna aricle likh kar publish kar sakte h .
WORDPRESS par blog kaise banaye
WordPress par blog banana bhi bahut asan h aayeeye hum wordpress par blog banana sikhenge , in steps ko follow kar aap wordpress me apna free blog bana sakte .
Wordpress blog |
1 . Sabse pehle aap apne computer ya mobile se koi bhi browser me jakar WORDPRESS.COM ko open kar le uske bad apko start your websites par click kare.
2 . Start your websites par click karte hi aap ko wordpress me account banane ke liye kaha jaayega janha aap your emil address me apna Gmail Id dale,
Username me apna koi manpasand username dale phir apna koi accha sa password dal kar create your account par click kijiye isse wordpress par aapka account ban jaaayega.
Wordpress new blog |
3 . Wordpress par account banane ke bad aap ko next page par domain select karne ko kaha jaayega chunki aap free me blog bana rahe h isliye aap ko koi bhi domain select nahi karna h .
Aap jo bhi manpasand name se apna blog banana chahte h use domain name ki jagah type kar le. chunki ye free blog h isliye yanha aap ko wordpress.com name se subdomain milegi. yanha apka address hoga xyz.wordpress.com jisse koi bhi apke blog par ja sakte h.
4 . Aapke blog ka address milne ke bad agar aapko ye pasand h aur aap wordpress ke free plan se agree h to aap select par click kariye.
5 . Aapko wordpress ki alag alag plan ke bare me bataya jayega apko free me blog banana h isliye aap "Start with free site par click kijiye.
Wordpress me ab aap ka blog bankar taiyyar ho jayega .bas "Get Started" me click kare kuch settings jaisa aap chahe ab aap ka blog ban kar taiyyar h.aap chahe to visit site option se apne blog ka look dekh sakte h..
Aaj hamne BLOGGER aur WORDPRESS par blog banana sikh liya h to dosto aap bhi jaldi se apna blog bana kar . Aap ko meri ye article free me apna blog kaise banaye agar acchi lagi ho to comment kar jarur bataye .
Post padne ke liye apka dhanyabad,
1 Comments
Nice article
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें