Blogger blog post me image kaise upload kare
Dosto agar aap ek blogger h to aap apne blog me images bhi upload karte hi honge. Par agar aap apne blog me images nahi lagate ho . Ya Aap ko blog post me image upload karna nahi aata h .
ya phir aap blog post me image lagana jaruri nahi samajhte ho to ye post apke liye bahut jaruri h.
Yanha me un bloggers aur jo naye bloggers abhi apna blogging journey suru karnewale h unko batana chahunga blog post me images lagana bahut jaruri aur faydemand h .
Seo ke najariye se bhi images article ke content ko behtar explaine kar sakta h .
Aapke blog ke readers bhi post me images hone par article padte waqt behtar feel karte h. To chaliye me aap logo ko bata dun blogger blog post me image upload kaise kare .
Blog image upload kare |
Blog post image kya h --
Blog article ko effective banane ke liye post me images ka use kiya jata h . Blog article me use kiye gaye inhi images ko hi blog post image kaha jats h .
Article ya post me image use karne ka mukhya karan , article ko explain karne me asani hoti h . Koi bhi picture image khud me kai story samete huye hote h . Isiliye to ye kahawat bahut hi prachalit h " ek image 1000 words ke barabar hota h ".
Blog post me images kyun upload kare
Blog me image kyun lagaye
Image bahut kuch kah jati h ye to baat to aapne jarur suni hogi isiliye ye kahawat bhi prachalit h ki ek image 1000 words ke barabar hoti h .
Bachpan se hi hum dekhte aa rahe h ki images wali book sabhi ko pasand hoti h .
Chote baccho ki bhi pehli book alphabets aur picture wali hoti h jisse hum sabhi ne padha h . Kyunki image ke saath books ke topics ko samajhna asan hota h .
Blog ko google search console me add kare
Blog article me image upload karne ke fayde
Blog me images lagane ke kai fayde h .
Blog ke look ko attractive bana deta h . Post ke first image ko search engine thumbnail ki tarah treat karta h .
Readers ko acchi feelings deta h jisse unhe article padte waqt boring feel nahi hota h .
Search engine sabse pehle meta title , image , meta description ko hi dekhta h .
Images ke help se article ko samajhna aur samjhana asan hota h .
Social media me image hone se promotion effective hoti h .
Blog ki acchi impression banati h .
Blog article ke liye image upload karne se pahale.
Blog article me image upload Karne se pehle
1 . Hume jo images chahiye use apne mobile ya desktop me download Karle. Apne manpasand aur apne article related images ki acchi quality kisi achi sites se download kar apne desktop ya mobile me save kar rakhle.
2 . Image copyright free hona chahiye nahi to age chal kar problem ho sakti h . Blog related image ko le kar future me kuch problem na ho iske liye copyright free images ko select Kare . Bahut se aise sites h jo free copyright images uplabdh karwati h.
3 . Behtar hoga aap apne se kuch images bana le ya editing kar le . Copyright issue se bachne ka sabse accha tarika h. Aap kisi bhi editing app ki madad se khud se koi images bana le aur manchaha words bhi enter kar le.
4 . Image ka rename change kar apne post related keyword par kar le . Download ya images create Karne ke baad uska rename karna jaruri hota h . Kyunki usme uska property name aur date of creation diya hua hota h jisse search engines ko images samajhne me muskil hoti h .
Blog post me image kaise upload kare.
1 . Sabse pehle apne bloger blog ke dashboard me jaye fir new post ya phir jis post me aap images add karna chahte h us post me jaye .
2 . Ab us post ke edit tool bar ke image ke icon me click kare .
3 . Ab apke samne ek window khulegi usme aapko upload from computer ,photo,bloger aur url ye char option milegi .
4 . Ab aap upload from computer option me click kare ab aapke samne ek aur window khulegi isme choose file me click kare ab aapke mobile ya desktop janha aapne apna images store kar rakhe ho use select kare .
Google me blog post ki position kaise check kare
5 . Select karte hi ab aapke samne wo image aa jayegi jise aap upload karna chahte h.
6 . Bas select me click karte hi post editor ke jis jagah me aap click kiye honge janha aap image add karna chahte h us jagah par image upload ho jayegi.
Image upload karne ke bad image ko optimize karna hota h jo hum apne agle post me janenge
Aaj maine aaplogo ko blog me image kaise upload kare ki jankari share ki aap logo ko meri article bloger blog post me image kaise upload kare kaisi lagi comments kar bataye .
Dhanyawaad .
3 Comments
Sir blog me image ki size kaise kam kare .
जवाब देंहटाएंNice
जवाब देंहटाएंImage ko upload karne se pahle uske size kaise kam kare
जवाब देंहटाएंएक टिप्पणी भेजें