Blogger me theme kaise upload kare | Blog templates kaise lagaye .



Blog ya websites bana lene ke baad agla jaruri step h blog ya websites ke theme ko change karna  . Ek  acchi aur akarshak  theme ya templete ko blog me  upload karna .

Theme templates yani hamare blog ki sundarta hamare blog ki design .

Kya aap bhi apne blog ko akarshak aur sunder banana chahte h. Kya aapko bhi lagta h  ki aapka blog sundar aur akarshak lage , to aapka sochna bilkul sahi h . 

Kyunki blog ki acchi theme ek acchi design naye  visitors ko apni aur akarshit kar sakta h. Visitors ko pahli bar blog me , blog ke acchi theme aur manmohak design hi lekar aane ka kaam karta h aur blog par bar bar aane ka karan aapki article ki quality hoti h . To blog ki theme blog ke liye bahut jaruri h ,  janiye blogger me theme kaise upload kare | Blog me templete kaise lagaye  .



Bloger me theme kaise upload kare| blog me templete kaise lagaye .
Theme upload







Hum kafi mehnat kar ek acchi article likh kar apne blog me post publish karte h par , jab agar durbhagya se blog par traffic nahi aati h to man udash ho jata h . 

Hume samajh hi nahi aata h ki etni acchi article hote huye bhi traffic kyun nahi aa rahi h . 

Ummeed ke mutabik traffic na aane se kuch bloggers ko negative soch gher leti h aur wo apne aap ko failure manane lagte h .

Dosto yaanha me un sabhi bloggers se kahna chahunga ye aapki failure nahi h .Ho sakta h ye aapke blog ke theme uske design ke karan ho raha ho. 

Aapke blog ki design utni akarshak na ho jisse visitors apke blog me aane me intrest na dikhate ho .

Ek akarshak design visitor ko apni aur akarshit karne ki chamta rakhta h. Isiliye aap ko apne blog ki design badalni jaruri ho jati h. 

Agar aapko blog ki design theme upload karna nahi aata to koi baat nahi mai aapko yanha batane wala hun bloggers theme (templates) kaise upload kare ? How to upload theme (templates) bas aap is article ko pura pade .

 Blog me templates upload karne se pehle hum janenge template kya h , templates kyun upload kare aur kaisi templates use kare .

Bloger blog me complete backup lene ki prakriya


Theme (Template) kya h .



Theme ya templete iska matlab hota h dhancha , banawat ya format jo ye tai karta h ki kisi  vastu ya project ki design ya banawat kaise hogi . Usme kya kya khubiyan hogi .

Bloger blog me bhi theme ya templete ek file ke rup me moujud rahta h jo ki xml file ke format me hota h . Jo ki computer ke language me likha hota h . Jise computer asani se pad sakta h .

Jis prakar ek building ki banawat ,sundarta aur uski khubiyon ki planning ke liye naksha banaya jata h .

Thik usi tarah blog ki theme batati h blog ki design kaisi hogi , usme kaisi suvidhaye milegi , search engine aur users ke anukul , uski loading speed kaisi hogi .

Ek accha templete blog ko grow karne me kaafi madad karta h . Blog ki safalta ke anya karako me se blog templete bhi ek karak  h .





Templates kyun upload kare 


Blogger me blog banane ke baad usme blogger ki aur se free templates uplabdh karwai jatii h 

Agar aap chahte h ki aapke blog me acchi traffic aaye to template jarur upload karna chahiye . Taki aapka blog akarshak aur user friendly ho .

Blog me template upload kar hum usme apne manmutabik aur jaruri button ya widget laga sakte h .

Bloggers me  available templates ya phir internet se bhi download kar hum template ka use kar sakte h .


Kaisi templates upload kare 


Blog ki templates upload karne se pahle templates Kaisi honi chahiye ye janana jaruri h .

1. . Seo friendly: templates ka seo friendly hona jaruri h taki blog search result me acchi rank mile. 

2  .  Mobile friendly: Templates ka mobile friendly hone par mobile dwarf bhi use kiya ja sakta h .jyadatar visitor mobile users hi hote h .

3  .  Loading speed: Apki template ki loading speed fast honi chahiye. Kyunki late se khulne wali sites se visitors bikal kar kisi dusri sites par chale jate h. 

4  . xml file : Blogger me sirf xml file support kartivf h isiliye internet se download karte samay dhyan rakhe. 

Bloger theme ( template ) kaise upload kare ?

Domain name kya hota h . 2022 me

Mobile se blogging kaise kare 2022 me .




Blog ki templates kaise upload kare 


Dosto blog me theme  ya templates ko upload karna bahut hi asan h . Theme ya templates ko upload karne ke liye pahle koi accha aur  responsive theme ko select kar downlodad kar lena h . Uske baad theme upload karne ke liye ye step follow karen. 


1 .  Theme ko download kare .


Kisi acchi sites se koi accha sa responsive  theme select kar use  download kare.

Theme acchi aur responsive hona chahiye jo kisi bhi device me saman kaam karta ho. 

Apne jo file download kiya h wo zip file me hogi use sabse pahle unzip karle .


2  . Apne bloger blog me login karle.


Aap ko apne jis blog me theme upload karna h blogger me login karke apne us blog ko select kar le .


3 .  Theme ko select kare. 


Ab login aur blog select karne ke baad apne blog ke dashboard me theme ko select kare. 

Theme ko select karte hi aapke samne ek screen khulegi usme right side me customize ke niche dropdown me click kare .






4  . Theme ka backup/restore kare. 



Theme ke screen Jiske right side me my theme customize ke niche ek down arrow me click kare. 

Click karte hi ab aapke samne ek aur window khulegi janha aapko 

  1. Backup
  2. Restore 
  3. Switch to first generation classic theme .
  4. Edit html 
  5. Mobile setting 








Ye 5 option milenge inme sabse pahle backup pe click karke apne site ka backup le lena h taki koi problem hone par restore kiya ja sake.

Backup par click karte hi aapke samne ek window khulegi jisme download ka option hoga .



5. .upload theme templates 


Backup ke download option me click karte hi aapke samne choose file ka option aayega us par click kare. 






Aapko kai files milenge usme se xml extension file ko select kar upload ke button par click kare aur kuch der baad upload successfully ka message show hone par apka templete blog me upload ho jayega .


Aaj aapne sikha .


Aaj aapne sikha templete kya h , blog me templete kyun upload kare , blog me kaisi templete upload kare aur templete ko bloger blog me kaise upload kare .



Aaj ke is article blogger me theme kaise upload kare | Blog me templete kaise lagaye me maine aaplogo ko blogger blog me theme upload karne ke bare me jankari dene ki  koshish ki h . Ummeed karta hun jankari aaplogo ko acchi lagi hogi .

Agar aaplogo  ko  article acchi lagi ho to comment kar jarur bataye .

Dhanyawaad