Google analytic kya h ? Kaise kam karta h aur blog se kaise jode 


Apne blog  ko Google me submit karne ke bad hum apni blog ke performance ko janana chahte h jiske liye hum apne blog ke gatibividhion par apni paini nazar rakhte h .


Kya aap bhi apne blog ke performance ko janane ko utsuk h aur janana chahte h Google analytic kya h? Kaise kaam karta h aur blog me kaise jode .


Har bloggers ko ye janana jaruri h ki unke blog google me kaise perform kar rahi . Unka blog google ke search result me kis position me show ho raha .


Google me blog ki performance dekhne aur monitor karne ke liye Google Analytic hamari madad karta h . 


Blogger blog me bhi ye suvidha  hoti h ki hum ye dekh sake ki hamare blog me daily kitne click hoti h k . Par ye kafi limited hoti h jisse blog ki performance sahi se nahi aanki ja sakti h. 


Iske liye hume Google Analytic tool ka itemal karna padta h. Jo hume blog ki traffic , traffic kis country se aa rahi , kis post me traffic jyada h ,kis keywords par traffic adhik h , blog padne me kis device ka istemal adhik ho raha h aadi .


Google analytic ka use kar hum apne blog ke pradarshan par najdiki  nazar rakh sakte h .


Jyada information milne se hum apne blog ko aur jyada improve kar sakte h. 




Google analytic kya  h
Google analytic kya h






Chaliye pahle hum Google analytic ke bare me Jan lete h .



Google analytic kya h .


Google analytic , google ki hi ek tool h jise google ne khas kar websites ko track karne ke liye hi banaya h . Jiski madad se hum apne blog ya website me improvement kar sakte h. 


Apne blog me aanewale traffic aur visitors ke blog me kiye janewale byawahar ko samjh sakte h . 


Visitor blog me kitne samay bitate h blog me kis keyword ko search karte h.


Abhi kitne visitors aapke blog me blog ke kis page ko pad rahe h. 


Google analytic blog ki traffic aur visitors ke vyavahar ke bare  me sahi jankari deta h .jaise kitni traffic h traffic kanha se aa rahi h ,kis page ya keywords par kitne traffic h .


Visitors blog me kaisa vyavahar yani kitne der rahte h kis post me adhik samay bita rahe h . Jisse hume apne blog ke improvement me sahayata hoti h .


Google analytic blog ke liye kyun jaruri h. 


Hum jab bhi blog banate h to hamara ek hi maqsad hota h ki logo ko hamari blog me di jane wali information acchi lage .


Jiske liye hum apne blog par kafi mehnat bhi karte h . Hum chahte h ki jyada se jyada log hamare blog ko visit kare aur hamare article ko pade . 


Google analytic isme hamari kafi madad karta h. Blog ke traffic related sari information hone se hume article likhne me kafi madad aur utsaah milti h .


 Saath hi visitor hamare blog me kya padte h kya search karte h ye janne ke baad hum apne readers aur visitors ke taste ko samajh pate h ki wo kya padna pasand karte h .


Aur hum apne readers aur visitors ke liye acchi acchi article likhne ko prerit hote h. Jisse hamare blog ke content ki quality badti h .


Google analytic kaise kaam karta h .


Google analytic ka kaam 3 charano me hota h .

Data collection --Google analytic hamare blog se data Collection karne ke liye java scripts code ka use karta h . Jaise hi visitors hamare blog pe visit karta h tab google analytic uske har activities ko record karte jata . 


Data processing -- Ab data collection kar lene ke bad Google analytic un collected data se hamareu liye useful information nikalne ke liye data processing suru kar deta h . Har data section ko alag alag analyzed karke unke category ya visestaon ke anusar divide kar apne database me store kar leta h .

Report generation -- 

Collect kiye huye data ko analyzed karke unki category ke hisab se report generate karna .


Google analytic me account banakar blog se kaise jode 



Account banane ke liye hume Gmail id ki jaurat hoti h jiske baad ek code milti h jise blog ke html section me lagana hota h . 


Account banane ka process


1 . Google analytic ke website me Jakar signup Kare

2  .  Account name likhe

3  .  3 options me se website select kare .

4  .  Ab is window me hume apne blog name , blog url , country name ,time zone  ko set karna h. 

5  .  Account create hone ke baad term and condition ki ek window ke page me accept kar lena h .

6. .  Term and condition ko accept karne ke bad ek tracking code milegi jise save kar lena h. 

7  .  Tracking code ko blog ke html code ke head section me add karna h. 

Bas ab aapke blog se Google analytic jud chuka h .

Ummeed karta hun aap logo ko meri ye article Google analytic kya h?kaise kaam karta h aur blog se kaise jode acchi lagi hogi.

Dhanyawaad