Agar aap ek blogger h aur apne blog ko lekar serious h to aap jarur janana chahate honge ki aapke blog ke readers aur visitors ka aapke articles par kaisi pratikriya h .

Iske liye aap article par comments padte honge. 

Par comments ke alawe bhi aap chahate honge aapke readers aapse sidhe taur par judkar apni pratikriya de. 

Aise me aap ko apne blog me contact us page lagana hota h. 

contact us page ke madhyam se readers aapse sidhe rup se judkar apni pratikriya dete h .

Blog se income karne ke liye Google adsense ke approval ke liye jaruri pages me se ek Contact Us ka bhi page hota h. 

Agar aap ko contact us page banana nahi aata h to aap is article ko pura pade , kyunki aaj hum janenge Contact Us page kya h ? Blog ke liye Contact Us page kaise banaye .



Contact us page
Contact us page



          


Har websites aur blog me contacts us page jarur hona chahiye . Yah wo page hota h jisse us blog ya websites ke visitors blog ya websites ke malik(owmer) se sidha sampark kar sakta h .

Blog se related koi sawal ya  suggestion is page ke jariye blog owner tak pahuncha sakte h .

Darasal is page me ek aisa contact  form hota h jisme apne details bhar kar submit karne par iski suchna email dwara blog ke owner ko milti h. 

Fir blog owner visitors ke diye huye email dwara apne visitors se contact ya reply karte h.


Contact Us page kya h .


Contact Us page darasal ek aisa form hota h jisme apni details bhar kar sidha blog ke owner se contact kar sakte h .

Contact form ko bhar kar apne vichar , sugestion , complaint ya koi querries likh kar submit karne par  uplabdh email dwara blog owner ko mil jati h. Fir blog owner apne hisab se unka reply visitors ke email me karte h. 

Contact form me blog owner ka email show nahi hota h jisse blog owner se contact karne ke liye contact form dwara hi contact kiya ja sakta h 


Privacy-policy-kya-h-blog-ke-liye

Blog ke liye disclaimer page kaise banaye

Blog ke liye about us page banaye




.


Contact us page kyun jaruri h. 


Blog ke visitors se direct sampark kar pane ke liye .

Blog se kamai karne ke liye Google adsense approval ke liye jaruri h .

Sponsors , advertisers se sampark karne ke liye asani .

Blog ke readers aur visitors se direct sampark me rahne ke liye. 

Blog se income ke liye Google adsenses ke approval pane ke liye. 

Apne blog ke feedback apne readers se janane ke liye. 

Blog se kisi bhi tarah ke  vyavasyak matter ke liye contact karne ke liye. 

Label kya h blog me label kaise lagaye .

Old blog post ko update kaise kare


Contact Us page kaise banaye .


Sabse pahle blogger.com ke dashboard par jaye .

Ab page ke option par click kare .

New page par click kare .

Ab page editor ke title me Contact Us likhe .

Ab tool bar ke HTML option ko select kare. 

Ab editor ke compose area me hume online contact us generator tool se prapt code ko paste kar dena h. 


Ab phir ek bar check karke post ko publish kar de yanha dhyan dena h ki hume HTML mode me hi post ko publish karna h.


Aaj aap logo ke saath maine Contact Us ke bare me kuch Jankari share ki h . Ummeed karta hun aap logo ko meri ye article Blog me Contact Us page kya h ? Blog me Contact Us page kaise banaye acchi lagi hogi.