Blog ke liye About Us page kaise banaye aur kya likhe
Kya aap ne apni ek acchi si blog bana li h aur ab aap apne blog me About Us ka page lagana chahte h. Par aap ko About Us page ko banane aur use blog me lagane ya blog se jodne ke prakriya ka idea nahi h to is post Blog ke liye About Us page kaise banaye aur kya likhe dhyan se anth tak jarur pade .
About Us page un pages me ek h jo blog ke liye bahut jaruri h . Jiske dwara hum readers ko apne aur blog ke bare me kuch jankariyan dete h .
Yanha aaj hum about us page banane ke tarike aur use blog me lagane ki vidhi ko saral tarike se samjhenge . In tariko ko follow kar aap jarur khud se apna About Us page banakar apne blog se add bhi kar payenge .
About us kya h aur kaise banaye . |
About Us page kya h
Hamare blog me jab bhi koi visitor , visit karta h to wo janna chahta h is blog ka malik koun h kanha rahte h unki education kya h . Is blog me kis prakar ki article share ki jati h , Is blog ke author/malik ne blogging kab ,kaise aur kyun suru kari .
Personally mujhe ye blogging suruaat kab aur kaise ki kafi pasand aati h. Main jab bhi dekhta hun koi blogger itne kam samay ke blogging me itne acche ache article likhte h to kafi khusi hone ke saath saath utsahit bhi mahsus karta hun .
- Apne blog ke visitors ko apne aur blog ke bare me batane ke liye .
- Apni sahi jankari de kar visitors aur readers ko apne regular reader banane ke liye .
- Visitors ke trust jitne ke liye .
- Blogging se kamai karne ke liye .
- Google adsense ka approval pane ke liye (saath me Contact Us , privacy policy term and condition page bhi anivarya h)
1 . Apne bare me likheTitle me About Us likhne ke baad about us for blog name.likhe .Uske baad apne bare me likhna suru kare .aapka naam , aap kanha rahte h .aapki education ,apne blog kaise suru kiya aap blogging kab se kar rahe h.
2 . Apne blog ke bare me likheIsme aap apne blogging sambandhit baatein jaise aap ne ye blog kab banaya . Blog banane ka idea aapko kanha se mila .Aapke blog me kis tarah ki jankari di jati h , aapke blog ka topics kya h . Iske alawe blog me koi aur seva ho to use bhi likhe .
3. . Blogging language :Aap apne blog me kis bhasa me article likhne wale h tatha aapko us bhasa ki kitni jankari h. Yah apne visitors ko bataye .
4 . Blogging karne ki wajah.Aap blogging kyun kar rahe blogging ko lekar aapka koi lakshya koi aim . Blogging se aap apne readers ko kya sikhana chahte h.
5 . Aapse sampark kaise kareAapke readers aur visitors aapse kaise sampark kar sakte h yanha bataye . Apna email address bhi add kar sakte h. Ya phir apna social media accounts share kar sakte h.
6 . Sadharan bhasa ka use kare.Apne About Us page ki bhasa ko jyada kathin na banaye chunki blog me har tarah ke visitors aate h isliye bhasa simple aur saral rakhe .Is tarah se aap apna About Us page ko bana sakte h. Ab to aapka About Us page ban kar taiyyar h.Ab hume ise apne blog me add karna h.
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें