Dosto jab hum apne blog me post likh kar publish karte h to hum chahte h ki hamarari sabhi post apne readers tak asani se pahunch sake , iske liye hum label ka use karte h .Blogging me label kya h ? Post me label kaise add kare

Readers ko hamari post padne me suvidha ho   hum iske liye khas dhyan dete h taki unhe hamare blog par koi pareshani na ho.

Iske liye hum apne blog post ko ek dusre se link bhi karte h . Taki hamare readers hamare ek post se dusre post tak asani se ja sake .

Par iske alawe bhi hum apne blog post ko apne readers ke sahuliyat ke liye category wise divide karte h .


Label kya h
Label kya h 





Label kya h 


Blogging me label ka matlab apne post ko category me arrange karna . Yaani apne readers ko apne blog ke topic se sambandhit jankari dena .


Ise saral bhasa me kahe to jab bhi hum kisi blog me visit karte h to hum janana chahte h ki us blog me hume kis tarah ki jankariyan milegi .


Apne readers ko ye jankariyan blog ke menu me category se milti h . Jisse readers apne interest ke anusar select kar apne manpasand aur jaruri category ko padte h .


Blog me category use karne ka kaam hum label ke madhyam se karte h . Label ke dwara hi hum post ko arrange kar category me add karte h .


Blog post me label kaise lagaye


Blog post me label add karne ke liye sabse pahle aap ko bloger me login karke bloger ke dashboard me post me click kare.


Post khulne ke baad aap jis post me label add karna chahte h use selelect kare.

                            

Ab post editor ke tool bar me aap ko right side me settings ka option milega.


Label


Label ke option me click kare , aapke samane ek window khulegi. 

Yanha aapko label ka option milega aap apne topic ke anusar apna label likh le .jaise blogging, internet,online earning etc. Jo bhi apke topic ko suit kare wo likh lena h .

Isi tarah aap 4 se 5 label likh sakte h par yanha aap ko dhyan dena hoga ki har label ke baad comma ( , ) ka use kare .

Ab post me apne topic ke anusar label likhne ke baad post ko publish kar de .

Bloger blog post me text aur font size kaise change kare

Free bloger bog kzise banaye 2022

Blog me label ka widget kaise lagaye

         


 Blog me label ka widget add karne ke liye

Sabse pahle bloger ke dashboard board me aaye.


Sabse pahle bloger ke dashboard ke left side me layout ke option me click kare .


Layout me click karye hi aapke samne aapke blog ke sabhi section ka widget show hogi . Aap choose karle ki aap ko apna label ka widget kanha lagana h .

              




Label ka widget lagane ke liye section choose karne ke baad usme add to widget par click kare .

Agar aap side baar me label ka widget lagana chahte h to usme aap add to widget me click kare .


Ab aapke samne ek page open hoga jisme bahut sare widget hogi usme se label ka widget ko select kar le .

                 

Label widget
Label widget



Label ke widget me click karte hi aapke samne label configuration ka page open hoga 

Ab usme label ko display karne ke liye sorting karle.

Ab aap save me click kar le . Ab aapka label aapke us section me show hone lagegi janha aapne choose kiye honge .


Domain name kya h , blog ke liye domain name kyun jaruri h

Blog ki basic settings kaise kare

Blog me label lagane ke fayade .



1 .  Blog me label lagane se blog ke navigation me madad milti h . Readers impression accha padta h .


2 .  Label se category banane me madad milti h 


3 .  Label lagane se visitors ko asani hoti h aur we apne manpasand visay ko padte h .


4 .  Label lagane se page views badne ke chances adhik hoti h .


5 .  Label ke madhyam se apne manpasand visay tak pahunchne ki wajah se bounce rate bhi kam rahti h .


Aaj ke post me humne blog ko label ke madad se category wise arrange karne ke bare me jana.

Ummeed karta hun aap ko meri ye post Blogging melabel kya h ? Post me label kaise add kare acchi lagi hogi .