Blog kaise likhe aur article likhne ka tarika 



Blog ke liye behtarin article kaise likhe ye ek common sa sawal har us naye bloggers ke man me aati hi jo jald hi apna blog suru karna chah rahe h .

Kya aap bhi apna ek blog suru karna chah rahe h par sirf yahi wajah se ki blog kaise likhe aur article likhne ka tarika malum na hone ke karan  apna blog suru karne me aaj kal aaj kal kar rahe h

To un bloggers bhaiyo aur bahno ko article likhne me madad karne ke liye maine apne article me kuch upay sujhaye h . Jisse aap apne blog ke liye acchi article likhna sikh jaayenge . Aur jaldi hi apna blogging career ki suruaat bhi kar lenge .



Blog aur article likhne ka tarika
Blog kaise likhe 



Blog post aur post article kya h 




Log apne jankarion ko likhkar online logo ke saath share karte h . Isse blog kaha jata h . Ye ek digital diary ki tarah hota h janha niyamit rup se usme likhna hota h . Ye jankarian likhit rup me , image , audio video rup me bhi ho sakta h 
.
Blog me share ki jane wali jankarian likhit rup me images aur audio video ke saath ek lekh ya article ke form me post ki jati h jo internet me publish hoti h . Yahi lekh jo hum likhte h ise hi article kahte h .



Blog article related kuch jankariyan 


Agar aap ko blog aur blogging ki kuch jankari h to aap ye jaante hi honge ki google hamare dwara likhe huye articles ko apne search result me show karta h .

Blog ko google search console me kaise

Par kya aap jaante h hamare tarah hajaro bloggers apni articles likhte h . To phir search result me google kinki article ko show karega . 

Google un hajaro aur lakho articles ke bich kin articles ko choose karta h apne search result me show karne ke liye .


Chaliye main aap ko bata deta hun google apne search result me un sabhi articles ko show karta h jo google me submit ki gayi h par top me unhi articles ko show karta h jinki article behtar aur unique ho yani auro se behtar aur alag ho .


Abtak to aap acchi tarah samajh hi  chuke honge ki google ke top search result me aane ke liye acchi aur unique article likhna kitna jaruri h  .


Par blogging ke suruat me hame ye samajh nahi aata ki hum kya likhe , likhne  ke liye words kanha se laye.


Jab hum blogging ki suruat karte h tab hume 5 se  6 post ke baad thodi samasya hone lagti h .samajh me  nahi aata h ki ab aage kya likhe . 

Article likhte samay khas dhyan diya jata h ki readers ko hamara article pasand aani chahiye . 


Jab readers ko article pasand aayegi to wo jyadatar time aapke blog me bitayega aur pure article ko padega logo ko share bhi karega . 

Readers ke jyada samay tak blog me bitane ke karan Google ke nazaro me aapke blog ki value badhegi or is tarah aapka blog bhi google ke acchi ranking par show hone lagegi .


Sidhe sabdo me kahe to readers jin article ko pasand karenge google bhi automatically us article ko pasand karti h yani google ki pasand sidhe taur par hamare readers ke pasand se jude hote h  .


To  chaliye dosto me aap logo ko readers aur google ko pasand aane wale behtarin article kaise likhe is ke bare me kuch jankariyan de du .

Bloger post me heading ka use kaise

Blog post title seo aur users friendly kaise banaye


Behtarin article likhne ka tarika. 



1 .   Aapko jis visay me artile likhni ho us visay se sambandhit kuch information ekkathi kare . Kisi bhi madhyam se .


2 .   Us visay se milte julte  kuch articles pade unki achi bato ko note kare kuch napasnd ho use bhi note kare . Missing words ko bhi note kare.


3 .   Ab aap apne article ke liye ek khaka taiyar kare jaise aap heading , pehla paragraph me kya likhna h,kanha koun si information deni h ,jankari kaisi deni (image,graph)h .phir article ka samapn kaise karni h


4 .   Aap apna blog chahe kisi bhi bhasa me likhe par blog likhte samay aam bolchal me use kiye jane wale bhasa ka hi upyog karna behtar hoga. . 


5 .   Article vistar purbak aur manoranjak purn likhe jisse readers ko boriyat mahsus na ho . Article upyogi aur manoranjak hone par readers article  ko pura padenge . Jitni der readers aapke blog me rahenge aapke blog ke liye utna hi accha h .


6 .   Article me jitni jyada jankariyan aapne ekkathi ki ho use share kare . Readers ko jitni jyada jankarian milegi we bar bar aapke blog par aayenge .


7 .   Article se related koi personal experience ho to use bhi share jarur kare . Readers aisi baaton ko padna pasand karti h .


8 .   Blog  ko apne sabdo me likhe yani kisi ke article ko copy karke paste nahi karna h jitna ho sake apne sabdo ka hi istemal  karna h .


9  .   Article likhne aur article ko publish karne me koi jaldbaji na kare . Article likhne ke baad article ko ek se do baar jarur check karne ke baad hi publish kare .


10 . Article likhne me kisi ke help lene ki jarurat ho to help lene me jhijhak mahsus na Kare help jarur le .


To dosto ye rahi ek acchi article likhne ki kuch tarike ab to sayad aapko kisi bhi topic par article likhne me koi pareshani nahi aayegi. 


Is article me maine aaplogo ko blog aur article likhne ke kuch tips share  kiye h umeed karta hun aaplogo ko meri article Blog kaise likhe, article likhne ka tarika acchi lagi hogi .

Dhanyawad