Blog me acche comments kaise kare jo faydemand ho






Dosto blog me comments kaise kiya jata h aap sab ko to malum hi hoga . Par blog me comments karna aur blog me acche comments karna me bahut difference hota h . Ji haan dosto aap bilkul sahi samjh rahe h  . Blog me sirf  comments karna hi prayapt nahi h  balki acche comments karna bahut jaruri h .

Acche comments se mera matlab aise comments se h jisse blog owner aur aapko bhi koi fayda ho . Aise comments jiska koi complete  matlab ho  Agar aap bhi blogging karte h to aap bhi chahte honge aapke blog me bhi acche comments aaye . Har article ko likhne me blogers ki kafi mehnat sanil rahti h . Aise me hamra bhi ye kartavya hota h ki hum uspar acche comments karke unka manobal badaye . Acche comments kaise kiya jata h janne ke liye article blog me acche comments kaise kare jo faydemand ho jarur pade .


Kya hum blogging ko apna career bana sakte h

Blog ke liye content research kaise kare


Blog me acche comments kaise kare .
Blog me comments kaise kare 




Blog comments kya 



Blog post comments kya hota h is baat se sabhi blogger acchi tarah se parichit hote h . Darashal ye ek jariya hota h writers aur readers aapas me  connect hone ka .  Blog commenting readers aur writer ko aapas me judne  aur ek dusre se conversation ka mouka deta h .

Darashal blogs me writers dwara ek comments section banaya jata h . Janha readers comments karke article ke bare me apni pratikriya de sake .

Blog post ko padne ke baad article ke jankari purn aur acchi lagne par . Readers blog ke comment section me article ke bare me apni acchi buri pratikriya ya for koi suggestion  likhte h .

Aap log bhi aksar blogs padkar post acchi  lagne par kabhi kabhi comments bhi karte hi honge . Aise me aap writers ka manobal  badane ke saath hi apna bhi kuch fayda kar lete h , aap apna fayda kaise karte h aage hum iske bare me bhi janenge .



Comments kyun kare 


Ek article ko publish karne se pahle uspar writer dwara kafi mehnat ki jati h taki readers ko ek accha aur interesting article mil sake . Acchi article padkar uspar comments karke hum writer ko utsahit kar sakte h . Jisse wo  aage bhi acchi article likhne ke liye prerit hota h .


Blog commenting se relation build hota h . Dusre blogs par comments karke blogers ke saath apna accha network bana sakte h . Blogging me kai tarah ke paristithi aati h , agar aapne blogers ke saath acchi network banane me safalta hasil kar liya to blogging aapke liye aage chalkar asan ho jata h .


Blog comments se aap apne blog sambandhit koi bhi sawal kar sakte h . Bahut se aise sawal har blogers ke man me aata hi h jiska jawab use malum nahi hota h . Un sawalo ko related blog ke comments me puch sakte h . Blog commenting ke kai aur bhi fayde h .




Blog comments ke fayde


Blog me comments karne ke kai fayde h jaisa ki aap jante hi h jyada se jyada readers tak apna blog pahuchana har blogers ka lakshya hota h . Har blogers chahta h uske blog me acchi khasi traffic aaye kyunki jyada traffic matlab jyada income . Traffic badane ke 



Backlink banane ka mouka milta h 


Blog me comments karne par backlink milta h jo ki blog ke post ko google me jaldi indexing me madad karta h . Blog comments se milne wale jyadar backlink no follow hoti h . Fir bhi ye blog ke liye important hota h . Search engines ke nazariye se post indexing me backlink madadgar hota h .



Traffic badne ke chances


Blog me acche traffic aane ke chances hote h . Kisi blog me aapke dwara kiya gaya ek accha comments , dusre comments karne wale readers ki bhi nazar me aata h . Jisse we bhi aapke blog me visit karte h . Article accha lagne par aake blog ke regular readers ban jate h .



SEO ka off page optimize 


Blog ke optimization ke liye  hum off page SEO karte . Dusre blog me comments karne par jo backlink milta h wo off page SEO ke antargart aata h . Hum kah sakte h blog comments se SEO me  fayda hota h .



Naye relation bante h 


Blog comments karne se dusre blogers se relation accha hota h . Comments readers aur writer ke liye apas me baat karne ka jariya hota h . Dono ek dusre ko samajh paate h .


Kisi blog me comments karne par us blog ka owner aapke comments ka jawab bhi deta h . Jisse dono ke bich ek rista banta h .  Blogging  karte huye koi problem hone par unse madad bhi mil sakta h .



Acche comments kaise kare



Blogging me comments ka importance ke bare me to jaan chuke h . Ab blog me acche comments kaise kare aur acche comments karne ke liye kin baaton par dhyan dena h wo bhi jaan lete h .


Acche comments yani aise comments jisme koi sawal ho , koi suggestion , agree , disagree jiska jawab dene ke liye bloger bhi jaruri  samjhe  .


Kuch comments aise bhi hote h jisme sirf nice.  Good jaise words hote h ab in comments par bloger kya reply kare . Aise comments se bach kar acche comments karne ke kuch tips .


1  .  Apna sahi pehchaan bataye 


Blog me comments karte samay hamesa apne sahi naam ka hi prayog kare . Bahut sare comments me comment karne wale ka naam me abc,xyz etc jaise word likhe hote h . Aise comments ko koi bloger pasand nahi karta h . Aise comments ke satyata par viuswas karna muskil hota h .


Sahi naam aur ho sake to picture ke saath wale comments par logo ka viswas hota h aur ise entertain bhi kiya jata h .



2  .  Blog ko acchi tarah se pade


Kisi bhi blog me comments karne ke pahle jis post me comments karna h us post ko acche se padle . Post ko acchi tarah padne ke baad hi aap ko pata chal paayega ki post me baataye gaye informations par aap kis tarah ke sawal jawab ya suggestion comments kar sakte h .





3   .  Apne vichar rakhe


Post ko padne ke baad usme baataye gaye informations ke bare me agar aapko koi knowledge h to comments karke uspar apne vichar rakhe .




4  .  Topic related comments kare .


Blog post ke topic ke anusar hi comments kare . Post jis topic par likhi gayee h usi topic related comments kare .



5  .   Sawal kare .


Blog padne ke baad us topic related koi sawal man me ho jo aapko samajhne me koi pareshani ho to uska jawab paane ke liye . Post me apne saealo ko comment ke rup me likhe .


Internal linking kya h seo ke liye kyun

Blog me dusre post ka link kaise add kare .

6   .  Useful Link add karna .


Blog post me koi information share karna chahte h , jisme aapko lagta ho ki ye post ke useful h to aap jaruri link bhi add kar sakte h .


Par bewajah ki link add na kare aise comments har kisi ko irritate karegi .



7   .   Comments ki banawat .


Kai baar post padne ke baad man me uthi kai sawalo ko comments rup me likhne par wo kafi lambi ho jati h .


Aise me itni lambi comments ko padne me uneasy feel hota h irritating feel hota h . Apne sawalo ko jiska aap ko jawab  chahiye koshish kare chote chote paragraph me likhe.


Paragraph me likhne par dekhne me bhi accha lagta h aur padne wale ko bhi asani hota h .


Aaj hum ne sikha blog comments kya h , comments kyun kare , blog comments ke fayde aur ek blog me kaise hum acche comments kar sakte h jisse padne wale ko bhi comments pad kar accha feel ho .

To dosto ye tha blog me aache comments karne ke kuch tarike agar aaplogo ko meri ye post blog me acche comments kaise kare jo faydemand ho acchi lagi ho to to apne dosto ke saath jarur share kare .