Freelancing kya h ? Freelancer kaise bane in hindi .


Freelancing kya h ? Freelancing kaise kare aur freelancer kaise bane .



Kya aap bhi kisi acchi job opportunity ki talash me h . Par kai jagah job try karne ke baad bhi aap ko manpasand job nahi mil pa rahi h . Aisa axar jyadatar logo ke saath hota h , manpasand job nahi milti , kanhi work culture pasand nahi aati kabhi ghar se dur job karne ki tension hoti h .

Aaj ke is post me , me aap ke liye ek aisi job  opportunity ki jankari lekar aaya hun jisme aapko mapasand kaam , kaam karne ki azadi , ghar me baithe job karne aur paise  kamane ka mouka milta h iske bare me janne ke liye pade freelancing kya h ? freelancer kaise bane in hindi .

Hindi content writing ghar baithe paise kamaye

Blog post title seo aur user friendly kaise banaye



Freelancing kya h ? Freelancer kaise bane aur kaise kam kare
Freelancing kya h .





Freelancing  kya h


Swatantra aur atamnirbhar hokar apne kisi skill ko seva ke rup me kisi sanstha , organisation ya kisi individual ko dekar uske badle apni service charge karne ko freelancing kahte h .

Freelancing me  kisi sanstha ya sangathan ke saath me sthai rup se na judkar , unke karyo ko apne skill ke anusar  anubandh ke taur par tai samay me  karke uske badle paise charge karte h .

Maan lijiye aap ko kisi kaam me maharath hasil h jaise content writing , editing , photoshop ,logo making  painting ya data entry ka kaam .

Agar kisi vyakti ko apne kisi project ya koi aur work ke liye upar ke kisi bhi category ke kaam ko karwane ke liye us field se related expert ki  jarurat padti h to .

Aise me wo vyakti aapko hire karke aapse apne project ko pura karega iske badle aapko payment kiya jayega .

Freelancing me kaam karne ke liye samay , jagah apne anusar tai karne ki azadi hoti h .



Freelancer kise kahte h



Jo vyakti freelancing ka kaam karta h use freelancer kahte h  . Freelancer yani kisi dusre  vyakti ke jaruri  kaamo me paise lekar apni service deta h . Jo anubandh ke adhar par hota h .

Freelancer ke kaam apne expertise ke anusar kiya jata . Wo koi bhi kaam ho sakta h jaise painting ,  designing , writing . software aadi .

Ek freelancer ki anubandh ki awadhi us karya ke samapan ke saath hi samapt ho jata h . Jiske badle use anubandhkarta se payment prapt hota h .

Freelancer ke experience ke adhar par uski service chages tai hoti h . Hire karne se pahle freelancer aur hire karta ke bich amount aur karya awadhi ki sahmati tai hoti h .



Freelancing ke liye jaruri 



Apne manpasand field ko chunkar usme apne ko nikhar kar professional freelancer banne ke liye kuch jaruri chizo ki jarurat hoti h .


Jaisa ki aapko malum hi hoga freelancing ka kaam online hota h . Online freelancing karne ke liye nimnlikhit chizo ki jarurat hoti h .


Bloger blog post image ko seo friendly kaise banaye

i  )  Computer ya laptop


ii )   Smartphone


iii )   Internet connection


iv )   Email accounts


v  )    Bank account



In sari chizo ke saath freelancing websites me apna accounts bana sakte h . Account bana kar apne profile ko acchi tarah banakar aap apne freelancing career ki suruaat kar sakte h .

Bloger blog post image ko seo friendly kaise banaye

Blog ki basic settings kaise kare


Freelancing ke kuch mukhya sites .



Jaise jaise online work ki culture badi h log apne online kaam ke liye professionals ko hire karte h . 

Aajkal aise bahut se websites h jo in professionals ko as a freelancer registered karte h . Buyer inhi sites ke madhyam se freelancers se contact karke apne deal final karte h . Kuch pramukhya sites h ..


i  )    Fiverr

ii )    Freelancer

iii)    upwork

iv)    peopleper hour 



In sites par suruaat me thoda muskil hota h par ek bar order milne ke baad aapko kaam milna suru ho jata h .


Freelancing me kaam karne ki azadi hoti h isme aapko apne hisab se time nikal kar ya phir kanhi se bhi kaam karne ki suvidha hoti h .


In sites se freelancer aur buyer dono registered honte h isliye isme scam hone ki chances kam hote h .


Freelancer kaise bane 



Freelancing ke field me utarne se pahle khud ke skill ko pehchanna jaruri h . Jaisa ki hum jante h freelancing me hume apne kisi skill ke service ke badle me bhugtan kiya jata h . 


Yani freelancing puri tarah se skill oriented job h . Jisme log skilled freelancer ko hi hire karna pasand karte h .


Freelancer bankar apne hunner se paise kamane ke liye  apne andar chipe pratibha ko pahchan kar use aur acchi tarah tarashna padta h . 


Jis kaam ko karne me aapko aanand aata ho yani jo kaam aapko pasand ho aise kaam me maharath hasil karke freelancing ke field me aa sakte h .






Freelancing me kaam kaise hota h 





Freelancing ka kaam kisi particular office ya individual ke liye nahi hota h .  Balki alag alag office , firm ya individual jo ki freelancer ko apne kaam ke liye hire karte h unke liye kiya jata h .


Online kisi freelancing websites me apna account banakar freelancer ke taur par register karte h .


Kisi firm ya individual ko apne kisi projects ya sites ke liye freelancer ko hire karne ke liye freelancing websites se uske profile dekhar use hire kar sakte h .


Freelancer ko hire karne wale ko buyer kahte h . Dono online ek dusre se contact karte h aur jarurat hone baatchit bhi kar sakte h .


Aur bhi kai tarike hote h buyer and freelancer ke bich deal final karne ke liye . Par freelancing websites ek surakshit platform hota h dono ke liye . Janha gadbadi ke chances nahi hote h .


Websites me freelancer ke profile dekhkar , pasand aane par buyer freelancer ke saath contact karta h . Aur phir dono work deal aur payments final karte h .


Ek bar deal final hone ke baad freelancer apne kaam ko pura kar tai samay ya usse pehle buyer ko soump deta h .


Buyer , kaam pura hone ke baad deal ki hui rakam freelancing websites me bataye gaye tarike se bhugtan kar deta h . 

Buyer aur freelancer dono in freelancing sites me registered hone ke karan kaam pura hone par dono parties se inhe (websites) commission milti h .


Aaj humne sikha freelancing kya h freelancer kaise bane ,freelancing ke liye jaruri , .mukhya websites aur freelancing kaise kaam karta h .

Dosto aaplogo ko meri ye post freelancing kya h ? Freelancer kaise bane in hindi kaisi lagi . Agar is post ko pad kar aap ko kuch sikhne ko mila ho to ise jarur share kare .