Dream11 apps se paise kaise kamaye in hindi 


Dosto aaj hum apne passion ke saath saath paise kamane ke tarike ke antargat Dream 11 app ke bare me baat karenge aur janenge hum kaise is apps se paise kama sakte h.


Kya hum is apps se paise kama sakte h ? Aapke man me ye sawal jarur utth rahi hogi to is sawal ka jawab haan me janne ke liye is article ko pura pade. 


Aapne Dream11 apps ke bare me jarur suna hoga . TV me hamesha is apps ke ads dikhaye jate h janha cricketer M S Dhoni is apps ke brand ambassador ke rup me dikhte h .

Agar aapko sports me interest h aur aap ko sports ki àcchi samajh h to ye apps aapke liye hi h , aap apne sports skill ka use karke is apps se àcchi kamai kar sakte h. 

IPL se paise kamane wale 5 apps

Dream11 kya h ?


Dream11 ek fantasy game h jo India me hi banaya gaya ek lokpriye fantasy gaming platform h. Joki apne users ko kai tarah ke jaise cricket , Footbal ,Hockey Vollyball  Kabaddi aadi khelo ke liye ek Manch pradan karta h. Jisme aapko anewale kisi bhi match se pahle dono teamo se lekar apni team banani hoti h. 

Aap is fantasy game ke lokpriyeta ka andaza is baat se laga sakte h ki iske sthapana year 2008 me hui thi iske baad se lagatar iske users badte hi jaa rahe h. Aaj is apps ko caroro log use karte h.

Years 2020 me to IPL(Indian premier leauge) ka mukhy sponsored tha iske baad se desh videsh ke kai teams aur kai leagues aaj Dream11 ko support karti h .

Chaliye ab hum Dream11 ke bare me kuch aur jankarian kar lete h. 

Yanha me aaplogo ko batana chahunga ki ye apps puri tarah se free nahi h .

Paise kamane wale 7 app

Dresm11 me join karne ke liye  refferal code ki jarurat padti h jisse join karne wale aur refferal wale ko bhi Rs 100 milti  h jiska upyog aap game khelne me kar sakte h. 

Sign in hone ke baad aapko as aanewale matches ki list milegi janha aap apne pasand ke game me apni team bana kar hissa le sakte h. .Aur agar aap ki team accha pradarshan karti h aur apki ranking acchi hoti h to aap winners ke list me shamil hokar psise jeet sakte h. 

Ji haan dosto aapne bilkul sahi samjha yanha aapko prediction yani purvanuman lagana hota h. Acche pradarshan karne wale players ko apne team me shamil kar jitne ki koshish ki ja sakti h.    

Chaliye ab hum Dream11 ke games ke rules janenge.



Dream11 me kai game hote h har game ke points earn karne ke rules alag alag h. Yanha hum cricket match ke bare baat karenge. 


1  .  Batting points :

Jab bhi koi player run banata h tab 1 run ke badle 1 points milti h jaise 


1 run    =   1 point

4 run     =   4+1(bonus) points

6  run    =    6+2(bonus) point

30  run   =    4 bonus point 

50  run   =     8(bonus) point 

100 run   =    12 (bonus) points 

Zero run  =   -2 points

Is tarah aapke team ke players ke batting performance ke adhar se points milegi 


2  . Bowling points :


Bowling performance ke adhar par points 

Wicket     =    25 points

3 wicket   =    4 (bonus)

4 wicket   =     8(bonus)

5  wicket   =    12 (bonus)

maiden over=   12 point


Team players ke bowlings performance par milne wale points .


3  .  Fielding point :


Batting aur bowling ke baad fielding me bhi points system h. 

Catch    = 4 points

3 catch  =  4 (bonus)

run out  =   12 points

stumping=   12 points 


Yànha caption aur vice caption ko baki ke players se adhik points milti h .

Captain ko auro ke muqabale 2× adhik points aur vice caption ko 1.5× adhik points milti h. 


Kisi bhi match se pehle aap ko apne 11players ki team bana leni h usme ballebaj ,gendbaj aur wicket keepers hona chahiye. Captain aur vice caption ka chunav bhi karni h. Kuch  fees ke saath aap iske contest me hissa le sakte h. 


Match suru hone ke baad aapke players ke batting bowling aur fielding me kiye gaye performance ke anusar points judte h , match ke baad points ke adhar par vijetaon ki ghosna ki jati h .

Agar aapke players ne acche pradarshan karke acche points hasil karke points table me àcchi rank bana leti h to aap kafi amount jeet sakte h. 



Dosto aaj maine aplogo ko Dream11 kya h aur Dream11 se paise kaise kamaye in hindi ke bare me batane ki koshish ki h umeed karta hun aaplogo ko meri ye post acchi lagi hogi .

Meri article padne ke liye aap ka Dhanyawad.