Mobile se paise kamane wale 7 apps in hindi 


Dosto aaj hum mobile se paise kamane wale 7 apps in hindi ke bare me janenge kaise hum apne mobile me in apps ko use kar kuch earning kar sakte h .


Aaj lagbhag har kisi ke pas android mobile hota hi h jiska istemaal log baat karne ke alawe internet se different browsers me  surffing ke liye  bhi karte h yani internet se connect ho kar apna manpasand chize mobile me hi dekhte h ,jyadtar  log apne mobile internet  ka use isi tarah movies dekhkar, you tube ya phir game khelkar kar karte h. 




Par kai  log apne mobile ka use baat karne, game khelne aur internet surfing ke alawe paise kamane ke liye bhi kahrte h  , mobile ka use paise kamane ke liye?  Jaan kar apko ascharya hoga par ye Sach h .Mobile se hum paise bhi kama sakte h. Ji haan hum mobile ke dwara thodi si mehnat karke kuch kamai kar sakte h. 



              
Mobile se paise kamane wale 7 apps in hindi
Paise kamane wale app




Mobile se online paise kaise kamate h .



Aaj aise bahut sare apps h jisse aap apne mobile  me install karke kuch kamai kar  payenge .


Yanha sayad  aap ke Mann me ye sawal jarur koundh rahi hogi ya aap soch rahe honge aakhir ye apps hame paise kyun degi aur ye apps paise kanha se layenge  hume dene ke liye? Kya ye genuine h ? Kya  iske koi charge bhi lagta h? Kya main kamai kar paunga? 


To dosto main aap ki dubidhon ko dur karte huye aap ke sawalo ka jawab aap logo ko ek ek kar deta hun. 


1  . Apps ke instalation ke baad aap ko kuch task diye jaayenge jisme survey ,Q&A, video dekhna aur kuch apps download etc 


2  .Google ads ke dwara ye apps apko bich bich me ads dekhati aur dusre apps ke promotion bhi karte h jiska unhe paise milti h. Aap ke task pura karne ke baad unhi paiso se kuch hissa aap ko diya jata h.


3  . Ji haan dosto ye puri tarah genuine h aap ke task pura karte hi ye rewards ke rup me cash, gift vouchers ya recharge coupons deti h. 


4  . Main aap logo ko bata du iske liye aap ko koi charge nahi lagega yani aap ko koi paise kharach nahi karna h .sirf internet conmecton android mobile ki jarurat hoti h. 


5  . Dosto aap asani se ye task pur kar paayenge aur in apps se kamai bhi nischit rup se kar paayenge. 


Mujhe lagta h maine aap logo ki sankaon ko dur kar di hogi, chaliye dosto ab hum un 7 apps ke bare me jante h .Par usse pahle mobile se paise kamane ke 7 apps se sambandhit kuch jaruri chizo ke bare me baat kar lenge. 


Mobile apps se paise kamane ke liye hume

 

1  . Android mobile ki jarurat hogi. 

2  . Acchi internet connection hona chahiye. 

3  .  Paise kamane ki lagan aur mehnat. 

4  .  Kam karne ki chahat.

5  .  Aap ke andar dhairya hona chahiye. 


Agar uprokt sari chize aap ke pas h to aap mobile apps se kamai karne ko puri tarah taiyyar h. Chaliye ab hum adhik time na lagate huye un 7 apps ki baat karenge jisse aap kamayee karne wale h.


Dream11  apps se paise kaise kamaye 

Bharat option app kya h paise kaise



Mobile se  paise kamane ke 7 apps 


.Meesho :


 Online reselling ka ek acchi platform h janha aap apna reselling store bana kar income kar sakte h. Meesho me kai sare products ke bich apne selected product ko lekar apna online store open karke social media sites par apne store aur products ka promotion karke,

 yanha aap apne products ke rate apne mmission ke sath aap khud decide kar sakte h. Apke link se koi bhi product sale hone par apka commission ( jo aapne khud  decide kiya tha ) aap ko mil jata h.


2  .  Google opinion rewards:


Jaisa ki naam se hi pata chalta h ki ye google ki hi ek app h jisme aap join kar kuch offers aur rewards pa sakte h. 

Agar hum kahe aap google ko apni rai dijiye badle me google apko inaam degi  to ye galat nahi hogi. Is apps me survey  me  hissa  lekar aap apne pasand  nspapsand ,apne interest apne choice ke bare me bataenge. 

Google in surveys ki madad se apni service ko aur acchi  kar pata h. 

Inhi survey ya apke opinion ke badle google aapko  play credit ke rup me rewards deta h jiskai madad se aap google play store se koi bhi paid  service purchase kar sakte h. 


3   .  Local vocal  :



Local  vocal ek news category ki apps h janha aap ko bahut sari khabaro ki jankarian milti h. 

Google playstore se is apps ko download karke aap isme apna profile bana kar. As a news reporter join karke news share kar ke acchi income kar sakte h saath hi dosto ko invite karke bhi paise kama sakte h. 


4  .  Nojoto :



Ye ek acchi money earning app h janha app story , video upload ,singing ya dancing comedy  poem kuch bhi kar sakte h . 

Yanha aap live show bhi create kar sakte h jisse interested log jinhe aapke show me interest hogi wo apki show ko book karte h jisse aako earning hoti .

Gift card dwara aapke fans direct apke profile me click karke paise bhi gift kar sakte h . Nojoto apps se aap apni pehchan banane ke saath apni kala ko bhi nikhar sakte h .


5   .TaskBucks  : 



TaskBucks money earning karwane wali ek popular apps h Jisse aap kamai kar sakte h .

Kuch task aur offers ko complete karke .

Apne dosto aur logo ko refferal aur invite karke. 

Daily contest me hissa lekar bhi aap treasure pa sakte ho .

Aap apne earning se apne mobile  recharge kar sakte h ya apne paytm me transfer kar sakte h. 



6  . Champcash :


Ye ek multi level marketing company h .ye  advertisers ke liye apne apps, websites , games aur products ke promotion ke liye ek platform deti h. 

Khud join kar phir dosto ko joining ke liye refer karne ke alawe aap ispar game khel kar video dekh kar , ads par click karke ya survey complete karke aap paise kama sakte h


7  .  OneAd :


OneAd referral aur earn system ke tahat kaam karne wali ek money earning apps h , yani aap is apps se judkar apne dosto ko referral ke dwara join karte ho .Aapke referral se jitne log judenge aap utni jyada income kar paayenge. 

Aap isme 7 level tak kamai kar sakte h , apne earn kiye huye paise ko aap apne bank account me transfer kar sakte h.


Online money making apps ke kai fayde h. 


1  .  Easy and kam efforts ka hona 

2  .  Surakchit aur saral hona. 

3  .   Extra kharach na lagna 

4  .  Samay ki koi pabandi ka na hona.


Aaj humne sikha mobile ki madad se kaise hum paise kama sakte h iske antargart humne 7 apps ke bare me jana . Jinki madad se hum ghar baithe  mobile se paise kama sakte h .

 

To dosto ye thi mobile se paise kamane wale 7 apps in hindi aur uske fayde. Aap logo ko ye post jisme aap mobile apps se kamai kar sake kaisi lagi umeed karta hun acchi lagi hogi agar aap aur bhi dusre money making apps ke bare me jaanna chahte h to comments me jarur likhe. 

Post padne ke liye aap ka Dhanyawad.