Keyword kya hota h ? SEO ke liye keyword kyun jaruri h  .


Dosto keywords ka name sunte hi sabse pehle sayad aapke man.me bhi meri hi tarah ke khayal aaye honge . Keyword sunkar hi 2 sabdo ka dhyan ho jata h .key +words  yaani hindi me chaavi+sabd . Sabdo ki chaavi.

Agar aap blogging karte h ya blogging ke bare me kuch jankariyan rakhte h to aap keywords name se parichit honge. 


Par blogging karte huye hume yaanha pata chala keywords ya phir Seo keywords kuch aise sabdo ke aansh hote h jo ki hum apne blog ke content likhne me mukhy sabdo ya vakya ke rup me istemal karte h .


 Jo ki hamare blog ke content me mukhy visay ke rup me rahta h , jis sabdo ko kendra me rakh kar hum apna blog content likhte h . Isi ki madad se search engines hamare blog tak pahunch kar hamare blog ko crawl kar pata h jisse hamari blog Google me show hota h .


Keywords kya h .
Keyword  kya  h ?











Keyword kya h ?


Ek keyword kuch khas sabd ya sabdo ke samuh h jise hum article likhne me use karte h . jo ki kissi bhi lekh ya article ki mukhy ya kendrit sabd ya sabdo ke sadmuh hota h. Jise kendr me rakh kar article likhi jaati h .

Keyword se hume contecnt kis visay me h iski jankari milti h . Jiska use hum article ke title me karte h jisse hamare article ke visay ke bare me pata chalta h . Keywords se logo ke saath search engines ko bhi blog ko samajhne me asani hoti h .

Keywords ka use title me karne se readers ko title dekh kar hi pata chal jata h ki ye article wahi h jiski talash we  kar rahe  the . Ab example ke taur par man let h aapne apne article ke title ka naam rakha h SEO kya h ? to ye aapke article ka keyword h  , naturally baat h , is article me aap SEO kya hota h iske bare me hi jakariyan uplabdh karwayenge . Readers bhi SEO related article ki khoj me aapke blog tak aayenge .


Search engine bhi apne search result page me SEO optimised articles ko hi pahle show karta h . Keywords selection bhi seo optimisation ke antargat aata h . 

Agar aap apne blog ko success banana chahte h to aapko SEO jarur sikhni chahiye . Kyunki isi se hum apne blog ko search engine me rank karwa pate h . So seo me keywords ka bahut mahatv hota h .


SEO me keywords ki kya mahatv h. 


Apne blog ki ranking aur traffic badane ke liye hume apne articles ke content ko seo ke anusar likhna hoga jisse aapki articlge jaldi acchi rank hasil kar sake. blog article ke seo me keywords ka bahut mahatva hota h . 

Seo , search engine ke result page yaani google me hamari blog ki ranking tai karta h. 

Isliye seo ko pasand aaye aisi seo friejdly article acche keyword ke sath likha jata h . Yaani article likhne me content aur keyword ka sahi optimisation seo ke nazariye se accha mana jata h . 


Hamare blog ki safalta blog par aanewali traffic par nirbhar hota h. Traffic badane ke liye keywords ko sahi tarah se optimise karna or keywords par focus kar article likhna bahut jaruri h . Jisse search engine ke results me oonchi rank hasil ho sake. 

Ab to aap seo me keywords ki importance samjh hi chuke honge. 




Types of keywords 



Sadharan taur par 2 tarah ke keywords

1. . Short tail kveywords 

2. .  Long tail keyword 


Short tail keyword 


Short tail keywords me 1 se lekar 3 words hote .Aise keyeords me kuch ka intent ka sahi se pata nahi chalta h  . Iske kuch  example  blog ,. Free blog , blog kya h . 

In keywords me kaafi traffic to hoti h par competition bahut jyada hoti h . In keywords ke saath google me rank karna bahut kathin hota h . Aise keywords me pahle se sthapit aur famous blog se competition karna asaan nahi hota h , naye bloggers ko in keywords se bachna chahiye .


Long tail keywords 


Aise keywords me 3 se jyada words hote h aur aise keywords se keyword ka intent ke bare mei pata chal jata h. Jaise  blogging kya h aur blogging kaise Kare , online paise kamane ke 10 tips .

In keywords me competition kam aur traffic bhi acchi hoti h .Aise keywords ke saath apne content ko sahi tarah optimised karke google ke search result page me rank kara sakte h . Naye bloggers ko long tail keywords ka use karna chahiye . Isse unhe 2 fayde hote h  .

        i )   long tail keywords me kam competition ka hona .

       ii )   Long tail keywords ke saath saath short tail keywords bhi apne aap rank ho jata h . Jaise  long tail keyword "blogging kya h ? bloggings ke 7 tips ". Ye keyword ke saath "blogging kya h ?(  short tail keyword ) bhi rank kar jayega . Naye bloggers ke liye yahi keywords achi hoti h.


Keyword density kya h .



Keywords density yaani keyword ka ghannatv jisse hame pata chalta h ki ek article me keywords kitni bar use kiya gaya h . 2% ke hisab se 700 words ke article me 14 bar keywords ka use bhi accha h .1% se 2% density keywords me acchi mani jati h .


Keyword stuffing :


Ek article writing me keywords ka istemal bar bar karne par use keyword stuffing Kahte h. Keyword gstuffing ko seo ke liye sahi nahi mana jata h . Ho sakta h iski wajah se post google me show bhi na kare .


Keyward kanha use  kare ?


Keyword article ke title me use karte h .

First paragraph me .

Image alt tag me .

 heading aur sub heading me .

Post permalinks me 

Description me use kare.

Last paragraph me. 


Keyword ke liye aaj kai tools internet me available h jisme free aur paid dono uplabdh h . Kuch tools me suruati kuch searhes free hoti h uske baad charge lagta h.


Ummeed kata hun aap ko meri article keyword kya h ? SEO ke liye keyword  kyun jaruri h. acchi lagi hogi agle post me kuch acchi article ke saath fir aaunga .

Dhanyawaad