Permalink kya h ?  Blog post me permalink kaise banaye 


Permalink kya h ye har naye bloger ko jarur janana chahiye . Aaj ke post me hum permalink kya h ? Blog post me permalink kaise banaye ke bare me janenge .

Permalink ko slug bhi kahte h permalink yaani permanent link .blog ko success hone me permalink ki aham bhumika hoti h .on page seo me permalink ek jarurri factor h . Permalink kisi bhi blog post ka url hota h. Jo blog ko short me acchi tarah define karta h . 


Permalink kya h ?

Internal linking kya h SEO ke liye

Permalink kisi bhi webpage ya blog post ke url ko kahte h . Blog post ka url means blog post ka address. Ab address kisi bhi site ya post ke liye kitni jaruri h yah to aap ko acche se pata hoga .

Permalink yani sthaee link apne naam ke anusaar permanent taur par hota h jo ki samay ke saath bhi nahi bdalta h .yani permalink ko badla nahi ja sakta h .


Permalink kya h
Permalink kya h 







Permalink kaisa hota ya kaisa dikhta h. 


Blogger aur WordPress me permalink alag alag tarah se show hota h. 

Blogger me 

https://domain.com/year/month/keywords (har words ke bich "-" ke saath )

WordPress me 

https:// domain.com/keywords("-" har words ke bich )


Seo me permalink ki importance 


Search engines ke liye permalink bahut important role play karta h . Post ki title , content  aur meta description ki tarah permalink bhi post ke google search result me acchi rank paane me madadgar hoti h. 


Ek acchi tarah likhi permalink google ke search engine me blog post ko acchi ranking dila sakta h. 

Search engines permalink ko asani se samajh sakta h jisse permalink me stith keywords aur title ke saath meta description ke keywords se pata laga leta h ki  post ka content kis bare me h .

Permalink se hi hum apne content ko kisi ke saath share kar sakte h kisi bhi websites me hum permalink ke dwara hi hum apna link share karte h . 

Serp kya h 

Seo friendly permalink kaise banaye hindi me 




Apne blog ko success banane aur blog post ko jaldi se search engines ke result me indexing aur ranking dilane ke liye .

Apne blog post ke permalink ko hamesha seo friendly banani chahiye jisse search engines asani se post ke content ko samajh kar indexing kar sake.Seo friendly permalink banane ke kuch upay .


1. .Blog ya website ko protocol ke saath yani https:// se karni chahiye jo ki darsata h ki blog ya website secure h aur isme diye gaye information puri tarah surachit h . Google bhi surachit sites ko adhik prefer karta h .


2. .chota aur akarshak permalink seo ke saath saath readers ko bhi pasand hota h .chote permalink yani  anawasyak words ko hata kar sirf jaruri aur important words ko rakhna .Asani se yaad rahne wali url readers ko dubara post par aane me madad karta h. 


3.  .permalink post related aur varnantmak hona chahiye matlab post ka varnan permalink me hona chahiye. Link ko dekhte hi ye abhas hona chahiye post kis bare me  h .
Jaise - 

https://example.com/2021/11/a/xyz/12

https://example.com /2021/11/permalink-kya-h.


Upar ke example me pahle wale link se pata hi nahi chal pata h ki post ya article kis visay me h . Par dusre link se ye clear pata chalta h ki post me permalink ke bare me information h .


4.  .Keywords ko samil kare jisse search engine ko post ke content ke bare me sanket mil sake aur un keywords par ranking ki sambhawna bhi adhik ho jati h .
Readers ko bhi url dekhte hi samajh me aa jati h ki post me koun se visay padne ko milne wali h .


5. . Permalink ke words yaani sabdo ke bich dashes ( - ) ka use karke sabdo ko alag alag rakhe .


6. . Permalink me hamesha chote yaani abc,xyz sabdo ka use Kare .


7  .  kuch words post ke content  ko samjhne me koi khas madad nahi karte h aise words seo ke liye sahi nahi h isse ranking me bhi asar padta h . Aise sabdo ko stop words kahte h inhe Permalink me samil karne se bachna chahiye .





Blogger me Permalink kaise banaye .



Sabse pahle blogger  dashboard ke page section me jaaye fir jis post me permalink banana ho (unpublish post ) use select kare , ab post ke  tool bar ke right side upar post settings me jaaye .

post settings me link select kare yanha aapko two options milenge automatic permalink aur custom permalink .

Yanha aapke post ka automatic permalink pahle se bana hota h par hume custom permalink select karke apna permalink banana h  har words ke bich ( - ) ka use karna h keywords ke saath bas ab save me click kar le. 

Blogger dashboard >post>post setting >link>custom permalink>save

Post ko publish karne se pehle hi permalink bana lena h . Post ke publish hone ke baad permalink ko badalna nahi chahiye isse seo me effect padta h .


Ummeed karta hun aaplogo ko meri post permalink kya h? Blog post me permalink kaise banaye acchi lagi hogi . Post acchi lagi ho ya fir koi suggestions ho to comment box me jarur likhe  DHANYAWAAD .