Blog ke bare me ab tak hum log kafi kuch sun chuke h  blog kya h , blog me kya likha jata h , blog kyun karte h .Blog banana bhi  sikh chuke honge, blog ke bare me choti choti jankariyan bhi aap logo ko malum ho gaya hoga aaj hum baat karenge Blog ki basic settings kaise kare .



Blog ki basic srttings
Blog settings


Aage badne se pahle me blog ke bare me kuch baate kar leta hun jisse unlogo ko bhi madad mil jaayegi jo blog ke bare me nahi jante h . Aise log jo blog ke bare me sune hote h par blog ke bare me unko koi khas jankari nahi hoti h . Unke liye blog setting se pahle blog ke bare me janana jaruri h . Tabhi wo is article ko pad kar isse koi labh uttha sakte h . Sabse pahle jante h blog ke bare me 


Blog kya h 



Blog ek tarah ka chittha hota h . Ek dainik dairy ki tarah  . Jisme hum niyamit antral par kisi visay ke bare me apni jankariyan likh kar online share karte h .

Blog me hum kisi bhi visay jiski hume acchi knowledge hoti h use ek article ke rup me likh kar logo ke saath online share karte h .

Online blog banane ke liye kai platform hoti h janha hum computer, laptop ya mobile aur internet connection ke saath blog bana sakte h . Blog banane ke liye aap hamari article                pad sakte h .

Ek blog bana lene ke baad blog ko istemal karne se pahle hume uski kuch basic settings karni hoti h . Jo aap aage padenge .

Blog banane ke uddeshya



Blog banane ke kai maksad ho sakte h . Log apne apne uddeshya ke liye blog banate h . Haan blog se paise kamana jyadtar logo ki pahli pasand hoti h . 

Par paise kamane ke alawe bhi kuch log apni jankariyan share karne ke liye , koi koi shouk ke liye bhi blog likhte h , apni kisi product ki prachar ke liye aur bahut sare lig apna personal blog bhi likhte h .









Blog settings 


Blog banane ke baad post publish karne ke pahle hame apne bkog me kuch jaruri settings karni padti h . jisse hum google ke search engine  me apni blog ko index karwa paayenge  bina settings ke aapke  blog ke baare me search engine ko pata hi nahi chalega ki aapne apna blog banaya h .
 


Hum yanha kah sakte h hame search engine ko apne blog ke bare me batane ke liye kuch jaruri settings ki jarurat hoti h , search engine ko  apne blog ki jankari dene ke liye hum yanha apne blog ki basic settings kaise kare par baat karenge





Blog ki basic settings kaise kare 




.  sabse pahle aap apne browser se bloger,com par click  kare


2  .  settings me click kare

3  .  aapko basic meu milegi janh aapko kuch jaruri settings karni h 



1 .  Title :


Isme aap ko apne blog ka naam likhna h jo aapne pahle se soch rakha ho.


2  .  Description 
:

Apne blog ke bare yanha aap ko sanchipt rupse vivran dena h aap kis bare me apna blog bana rahe h  . 
Apne blog par aap kis kis visay me jankariyan dene wale ho aap 500 sabdo ke andar varnan karna h.ap apne keywords ka use yanha kar sakte h ye behtar hoga.


3  .  Language :


NApne blog ki language yani ki aap apne blog me kis bhasa me apna article likhne wale h  use select kar le .

4  .  Privacy :


yanha aapko Visible to search engine button ko enable kar lena h .


5  .  Publishing :


Aapke blog ka address aapke domain ya sub domain ke saath yaani agar aap free blog bana rahe h to Blopspot .Com ke saath aayega.
Aap apne blog ke domain ko yanha se redirect kar sakte h.


6  .  HTTPS :


Samne ke button ko enable kar lena h isse aap ka blog secured ho jaata h yaani https//: apne bog ki secuity darsata h.


7  .  Permission :


Yanha aap chahe to apne blog par author ke rup me kisi ko authority de  sakte h ya phir ise aise hi rahne de sakte h.



8  .Reader Access :




1  . Public :apke post ko koun dekh faur pad sakta h ise select karne par har koi apke post ko dekh aur pad sakta h.
2 .  Private : aapke post ko sirf aap hi dekh aur pad sakte h. 
3 . Private only : Aapke post ko koun pad sakta h yani aap jise chahe sirf wohi aapke post ko dekh aur pad sakta h 
Isme aap public ko select kijiye.


9   . Post :


Isme aap max posts shown on main pages par click karke posts ki sankhya dal sakte h .


10 .    Comments:


Comment location par click karke embedded ko select kar save kar le uske baad who can comment par click karke aap ko select karna h koun aapke post par comments kar sakta h,  aap yanha users with google accounts ko select kare .

 .

11 .  Meta description  :


Aapke blog ke liye bahut hi important setting h .Search engine apne search result me blog ka title aur meta description hi show karta h. Meta description me hame 160 sabdo ke andar apne blog ko describe karna hota h.





12 .   Crawlers custom indexing :


Enable custom robots.txt ke Samne click kar enable kare. 
Enable costom robots header tag  ko bhi enable kar le. 
Home page tag me all aur noodp ko enable kare . Archive and search page tags  me noindx aur noodp  ko enable karna h. 

Post and pages tags me all aur noodp ko enable kar select kar save kar lena h



13 .   Google search console :


Google search console option me hame apni site verify karni h  . Baad me isme sitemap add karna hota h .

To ye thi bloger blog ki kuch basic settings jisse aap ko apne naye banaye blogs me karni h .


Meri ye post blog ki basic settings kaise kare pad kar aap apne blog ki setting karne me koi pareshani mahshus nahi karenge .

Aap logo ko meri ye post blog ki basic settings kaise kare kaisi lagi umeed karta hun acchi lagi hogi .Meri yah article padne ke liye apka Dhanyabad.