Sitemap kya h . Bloger me sitemap kaise banaye . 




Aap logo ne sitemap ka name jarur suna hoga fir bhi jin logo ko sitemap ke bare me jankari nahi h . Unki jankari ke liye yanha sitemap ke bare kuch jankarian share kar raha hun .

Ek blog ya website ke liye sitemap bahut important hota h . Kyunki sitemap hi search engines ko hamare blog ke bare me satik jankariyan uplabdh karwata h . Sitemap search engines ko hamare blogs ya websites ko crawl aur indexing karne me madad karta h . Jisse search engines badi asani se blogs ke details ko apne bots ki madad se crawl kar pata h .


Sitemap SEO ka hi ek hissa h Jisse hame apne blog ke liye jarur banana chahiye . Sitemap ke bare me janne ke liye hamari article sitemap kya h bloger me sitemap kaise banaye jarur pade .



Sitemap kya h bloger blog ka sitemap
Sitemap kya h 





Jab bhi hum apne blog par koi post likhte h  ya fir apne purane blog post me koi update karte h to hame iski jankari search engine ko bar bar nahi batani padti h . Sitemap me ye sare naye aur purane post dono hi apne aap  update hota rahta h . Jisse search engines ke crawler asani se apne results me changes kar leta h .


Har ek naye blog ka pehla lakshya hota h khud ko search engines ke search result me show karna . Jiske liye sitemap bahut important hota h . 


 



Sitemap kya hota h  ?





Pahle hum iska matlab samajh lete h   sitemap two words se bana h site + map = sitemap , Jisme site ka matlab hamare site ya blog se hota h aur map yani naksha . Yaani blog ka naksha . 


Sitemap ek blog ke liye bahut important hota h jo ki search engine optimization ka hi ek hissa h .

Sitemap ek xml file hoti h . Jisme ek blog ki sari url aur jankariyan hoti h . Blog ke sare url ke list , blog me kitne post  h  , blog ke  pages .blog kab bana , blog kab kab update kiya gaya .


Sitemap search engines ke crwaler ko blog ke post aur pages ke Url search Karne me madad karta h. Jisse search engines ko hamari sites ya blog ko samjhne me asani hoti h. 

Har blog ko banane ke baad sabse pahle uska sitemap bana kar google search console ya webmaster  me submit karna hota h , jo blog ko search engines  google bing ke search result me show hone ke  process me madad karta h 

 . 

Bilkul us naksha ya map ki tarah jise  apne sath lekar ek yatri ya musafir anjani rasto se hote huye apne manzil tak asani se pahunch jata h . Thik yahi kaam ek sitemap apne blog ke liye karta h or blog ko search engines ke search results me show hone me madad karta h .












Sitemap kaise banaye  .






Sitemap banane ki prakriya bahut hi asan h jissse koi bhi badi asani se bana sakta h . Agar aap apne blog ke liye sitemap banana Sikhna chahte  h to chaliye ab hum sitemap banane ki Parikriya ko samajh lete h. 

Waise me bata dun bloger me sitemap pahle se hi  bana hota h par usme hum kewal 25 se 26 post hi likh sakte h .


Internet me aap ko sitemap banane ke kai websites mil jaayenge jisse aap apne blog ke liye sitemap bana sakte  h. 


Sabse pahle aap ko xml sitemapq creater me jana hoga. Yanha me aaplogo ko bata dun is process se aap kewal 500 pages tak ke liye apna sitemap bana sakte h .aap ko isse jyada pages ke liye dusri sitemap banani hogi .yanha kuch steps follow karke hum sitemap bana sakte  h 




 1.   Apne blog ka url enter kare jaise apnihindise.com,   Agar aap https:// security use karte hai to  apne URL ke saath https:// jarur lagaye jaise https://apnihindise.com .


Online sitemap generator
Online sitemap generator 




 2.   Ab why do you need a sitemap options par click kare.
Include "Page Last modification" attribute ko enable kare .


3.    Automatically calculate "Page Priority" attribute ko enable kare.


4.    Pages "Change Frequency" attribute par Always select kare.


Ab ek bar fir check karle  aur sari settings ok hone par  start button ko click kare. 


Start par click karte hi agle windows me "please wait sitemap generation in progress" show hoga kuch samay wait karne ke baad aap ka sitemap ban kar taiyyar ho jayega .


Ab aap ka sitemap ban kar taiyyar ho chuka  h sabse pahle ise download kare .


Download Karene ke bad ise apne blog me upload kare .


Sitemap ko webmaster , google bing ya yandex jaise search engines me add/ submit kare. 


To dosto aap ne aaj jana sitemap kya  h aur sitemap kaise banaye ..

Ummeed karta hun aap logo ko ye post sitemap kya h , bloger me sitemap kaise banaye  acchi lagi hogi  , agle post me kuch aur  .jankariyan lekar aaunga .Dhanyabad