Blogger me  blog logo header me kaise add kare 


Dosto ek blog ko pehchan dilane me blog ki domain ki jitni bhumika hoti h thik wahi bhumika blog ke logo ki bhi hoti h . DomIn name ki apecha blog logo asani se apni pehchan visitors ke dilo me bana leti h kyunki sayad name se jyada blog logo  yaad rakhna asan hota h . 


Blog ko attractive aur professional look dene ke liye bhi blog logo ki jarurarat hoti h . Aapne aksar dekha hoga har acchi websites ke saath uska logo bhi hota h jo ki us website ko ek alag pehchan dilata h . Har logo apne alag look ke karan  apne website ya blog ki pehchan banane me aham bhumika nibhata h . Aaj hum bloger me blog  logo header me kaise add kare iske bare me janenge .


Bloger blog me logo add  kare .
Bloger blog me logo add 







Logo kya h ? 


Agar aapko logo ke bare me nahi  malum h to main aapko bata dun logo bhi ek image hi hoti h . Jo ki ek brand ek chinh ke rup me kisi blog website ya kisi company ko pehchan dilata h .

Jiske dwara koi bhi vyakti us blog ya website ko pehchan leta h . 


Jyadtar blog ke name ko yaad rakhna thoda muskil ho sakta h . Par ek logo ko log asani se yaad rakhte h . Aur asani se us logo dwara blog ya website  ko pehchan bhi lete h . 


Hum kah sakte h logo kisi site ki pehchan hoti hone ke saath saath ek brand aur quality ka symbol bhi hota h .

Par apne blog ke liye sahi logo select karne ke saath hi use saho jagah lagana bhi pata hona chahiye .  Bloger me blog logo header me  kaise add kare 



Blog ke liye content research kaise kare.

Bloger blog post me headings ka use

Blog ki basic settings kaise kare

 

Blog ke liye logo kyun jaruri h .


Apne blog ke  pehchan ke liye logo ki jarurat hoti h . Kisi bhi business me apni pehchan banane ke liye logo mahatvapurn bhumika nibhata h .

Apne website ya blog ko ek brand ke taur par stathapith karne ke liye ek logo ki jarurat padti h . Kuch dino baad jab aapke blog me traffic bad jaayegi aur aapka blog famous ho jayegi tab aapko use ek brand ke rup me statpith karne ki jarurat mahshush hogi.

Logo ko dekh kar akshar Log aapke blog ke quality ke bare me andaza bhi lagate h . Kahne ka matlab h ek accha logo log ko apni aur akardhit karta h .

Ek blog ki pehchan uske domain name ke saath saath uske logo se bhi hoti h . Par domain name ki apeksha logo readers aur visitors ko asani se yaad rahti h .




Blog logo kaise banaye .


Apne blog ke liye aap apne se bhi logo bana sakte h . Apne mobile ya computer se kisi image editing app ya website  ki madad se aap khud se logo bana sakte h . Bas logo banate samay is baat ka dhyan rakhe logo ki size adhik na kare .

 Blog logo ki size adhik hone se eske loading me asar padega . Isliye logo ki size par jarur dhyan de . Aapko bahut sare online website ya android application bhi mil jayegi .


Bas apne thoda creativity ke saath aap in websites ya app ke jariye apne manpasand logo bana sakte h . Logo banate samay bahut jyada colour ka use na kare . Logo ko attractive banane ki koshish kare par color ka bahut jyada upyog bhi na kare



Logo ko apne blog me kaise add kare 





1 . Sabse pahle bloger.com se apne log ko open karna h .

2 . Blog ke dashboard me  leg side menu me se layout select kare .

3 . Layout open hote hi usme header section me jaye . Headers section ke edit button me click karte hi aapko kuch options nazar aayenge .







4 . Ab aapke samne window me blog title  blog description aur image option show hoga . Aapko yanha image ke option me upload image from computer ( Agar aapne image computer me save kiya h ) par click kare .

5 .  Aapke samne window open hogi usme aapko choose file me click karna h . Jisse aap apne pasand ke image ko select kar sake .

6 .  Ab apne computer se jis image ko select karna h use open kare .

7 . Aap jis image ko open karenge aur upload ke option me click karte hi aapki image upload hona suru ho jaayegi . 


Image ko logo ke liye choose karne se pehle uske size aur rename jarur change kar le .









Image upload ho jane ke baad blog me uske sahi jagah me lagakar show karne ke liye hume blog placement ka 3 option milenge .





Bloger blog me error 404 kaise fix kare


1 .  Behind the title and description 

2 .  Instead of title and description

3 .  Have description placed after the image .


Isme se aap jaise apne logo ko show karana chahte h use select kar ke save kar le .

Ab aapke blog ke preview button click karke aap dekhenge aapke blog me aapke blog title ke saath  logo show hone lagegi .

Agar aapko ye article  Bloger me blog logo header me  kaise add kare acchi lagi ho to jarur comment kar bataye .